Sayyadul Ambiya Karam Karna

Sayyadul Ambiya Karam Karna

Kalaam of Hazrat Parwarish Ali Hussaini (Shah) R.a

Sayyadul Ambiya Karam Karna
Hampe Lutf -O- Ataa Baham Karna.

Dono Aalam Me Ahle Isyaan Par
Rehm Aye Shafi -E- Umam Karna.

Garche Ham Hain Ziyada Gharke Gunah
Lutf Apna Kahin Na Kam Karna.

Ishq Ka Apne Do Khazana Rasool
Na Mujhe Talibe Diram Karna.

Dono Aalam Me Ya Rasoolallah
Khush Mujhe Aap Dam Ba Dam Karna.

Hai Tamanna -E- Shah Khuda Ke Habeeb
Uss Ka Dil Gulshane Iram Karna.