Kaali Kamli Me Wo Zeeshan Nazar
Kaali Kamli Me Wo Zeeshan Nazar
Kaali Kamli Me Wo Zeeshan Nazar Aata Hai
Unka Chehra Hame Quran Nazar Aata Hai.
Kaali Kamaliya Chand Sa Mukhda
Allah Allah MashaAllah
Kaisa Hai Mehboob Khuda Ka
Allah Allah MashaAllah.
Kaali Kamaliya Wo Unka Chand Sa Mukhda
Girah...
Wallail Hu Taha Jabeen
Wash Shams Hai Chehra
Chehra Zulfon Me Jaise Abr Me Chand
Husne Yousuf Bhi Jiske Aage Maand.
Jo Dekha Hazrate Yousuf To Ungliyan Kaatin
Baghair Dekhe Yahan Sar Kataye Jaate Hain.
Duniya To Faqat Unke Haseen Rukh Pe Hai Quran
Surath Hi Nahi Unka Tasawwur Bhi Haseen Hai.
Khamosh Gar Rahein Ro Risalath Ma'ab Hai
Gar Bolne Lage To Khuda Ki Kitaab Hai.
Zulf Wallail Wash Shams Chehra
Husn Wal Fajr Unki Jabeen Hai.
Sher...
Pyaar Ke Meethe Lehje Baante
Ghar Ghar Arsh Ke Tohfe Baante
Rehmate Aalam Bankar Aaya
Allah Allah MashaAllah.
Allah Ka Paigham Sunaya
Bhatke Huwon Ko Raah Dikhlaya
Naame Muhammad Harsu Chamka
Allah Allah MashaAllah.
Ghare Hira Me Ashk Bahaye
Ummat Ke Sab Naaz Uthaye
Honton Par Har Waqt Dua
Allah Allah MashaAllah.
Godh Me Lekar Jhoom Rahin Thin
Chehraye Anwar Choom Rahin Thin
Maai Haleema Rutba Paaya
Allah Allah MashaAllah.
Tishna Labon Ne Eid Manayi
Sehraon Ki Pyaas Bujhayi
Abre Karam Bhi Khul Kar Barsa
Allah Allah MashaAllah.