Haazir Hai Dare Daulat Pe Gada
Haazir Hai Dare Daulat Pe Gada
Haazir Hai Dare Daulat Pe Gada
Sarkar Tawajju Farmaen
Mohtaje Nazar Hai Haal Mera
Sarkar Tawajju Farmayen.
Mai Kab Aane Ke Khabil tha
Rahmath Ne Yahan Tak Pohonchaya
Sarkar Pe Tan Man Jaan Fida
Sarkar Tawajju Farmayen.
Ek Mai Hi Nahi Saari Ummat
Saari Duniya Saari Khalqat
Takti Hai Rasta Rehmat ka
Sarkar Tawajju Farmayen.
Mai Kar Ke Sitam Apni Jaan Par
Quran Se Jaaun Kaa Sun Kar
Aaya Hoon Bohot Sharminda Saa
Sarkar Tawajju Farmayen.
Aansu Aansu Hai Faryadi
Aur Arze Karam Hichki Hichki
Dhadkan Dhadkan Deti Hai Sada
Sarkar Tawajju Farmayen.