Aao Mere Nabi Ki Shaan Suno

Aao Mere Nabi Ki Shaan Suno

Kalaam of Nisar Ali Ujagar

Aao Mere Nabi Ki Shaan Suno
Nabi Hai Bolta Quran Suno.

Habib Pyaara Nazar Uthaye
To Maula Qibla Badal De
Kahin Ye Chahat Kahin Ye Kehna
Aye Moosa Aana Sambhal Ke
Khuda Hai Inpe Meherbaan Suno
Nabi Hai Bolta Quran Suno.

Nabi Ka Sajda Hua Hai Lamba
Hussain Pusht Pe Baithe
Tere Nawase Hai Jinke Jode
Khuda Ne Khuld Se Bheje
Hai Jibraeel Bhi Darban Suno
Nabi Hai Bolta Quran Suno.

Namazen Dee Thi Pachas Rab Ne
Nabi Ne Paanch Karayi
Hai Dekho Kitna Khayaale Ummat
Nabi Ne Baat Banayi
Wohi Hai Arsh Ke Mehman Suno
Nabi Hai Bolta Quran Suno.

Nabi Ke Aashiq Bilaale Habshi
Hai Jinke Arsh Pe Charche
Bilaal Jab Bhi Azaan Dete
Sahaba Ishq Me Rote
Bilaale Habshi Ki Azaan Suno
Nabi Hai Bolta Quran Suno.

Hussaini Jazba Ubharta Hai
Ali Ke Naam Ka Naara
Yazeediyon Ko Pachadta Hai
Ali Ke Naam Ka Naara
Ali Hai Mustafa Ki Jaan Suno
Nabi Hai Bolta Quran Suno.

Nabi Ki Nazrein Rahe Ujagar
Issi Se Apna Guzaara
Nabi Ka Saaya Rahe Salamath
Yehi Hai Apna Sahara
Nabi Ke Kitne Hai Ehsaan Suno
Nabi Hai Bolta Quran Suno...