Waah Kya Martaba Aye Ghouse Hai Baala Tera

Waah Kya Martaba Aye Ghouse Hai Baala Tera

Waah Kya Martaba Aye Ghouse Hai Baala Tera
Ooche Oonche Ke Saron Se Qadam Aala Tera.

Sar Bhala Kya Koi Jaane Ke Hai Kaisa Tera
Auliya Malte Hain Aankhein Wo Hai Talwa Tera.

Kya Dabe Jispe Himayath Ka Ho Panja Tera
Sher Ko Khatre Me Laata Nahi Kutta Tera.

Qasmein De Deke Khilata Hai Pilaata Hai Tujhe
Pyaara Allah Tera Chaahne Waala Tera.

Nabawi Mii Alwi Fasl Batooli Gulshan
Hasani Phool Hussaini Hai Mehekna Tera.

Tujhse Dar, Dar Se Sag Aur Sag Se Hai Mujhko Nisbath
Meri Gardan Me Bhi Hai Door Ka Dora Tera.

Iss Nishani Ke Jo Sag Hain Nahi Maare Jaate
Hashr Tak Mere Gale Me Rahe Patta Tera.

Meri Qismat Ki Qasam Khaaye Sagaane Baghdad
Hind Me Bhi Hoon To Deta Rahun Pehra Tera.

Faqre Aaqa Me Raza Aur Bhi Ek Nazme Rafee
Chal Likha Laayein Sana Khwanon Me Chehra Tera.