Kaifiyath Kya Hai Na Poocho

Kaifiyath Kya Hai Na Poocho

Kaifiyath Kya Hai Na Poocho Taiba Se Aane Ke Baad
Jism Ki Haalat Ho Jaise Rooh Nikal Jaane Ke Baad.

Poochte Hain Dost Kitne Din Ki Thi Ye Haazri
Bas Guzaar Aaya Hoon Kuch Pal Yoon Laga Aane Ke Baad.

Rauza -E- Sarkar Ki Thi Saamne Jab Jaaliyan
Choom Leta Kaash Me Aaya Khayaal Aane Ke Baad.

Jab Riyazul Jannah Me Ki Thi Adaa Maine Namaaz
Dam Nikalta Kaash Mera Sajde Me Jaane Ke Baad.

Kis Qadar Dushwaar Tha Uss Sar Zameen Ko Chornaa
Kaash Taiba Hi Me Rehta Hai Malaal Aane Ke Baad.

Allah Allah Rauza -E- Sarkar Ki Wo Raunaqen
Dil Ko Tadpata Hai Wo Husno Jamaal Aane Ke Baad.

Phir Asad Ko Haazri Ki Ho Ijazath Ya Nabi
Tishnagi Har Baar Badhjaati Hai Laut Aane Ke Baad.