Aye Khuda Naseebe Ko Aise Jagmaga Dena

Aye Khuda Naseebe Ko Aise Jagmaga Dena

Kalaam of Shajar Ali Madaari

Aye Khuda Naseebe Ko Aise Jagmaga Dena
Hamko Maut Se Pehle Karbala Dikha Dena.

Muntazir Hain Jannat Me Tere Nana Aye Asghar
Teer Jab Lage Tujhko Thoda Muskura Dena.

Bad Amal Hoon Mai Lekin Ishq Par Bharosa Hai
Karbala Ke Sadqe Me Jannati Bana Dena.

Ahle Bait Ki Ulfath Se Kabhi Jo Dil Jhoome
Apni Maa Ki Paaki Ko Uss Ghadi Dua Dena.

Zulfiqar Lekar Tum Ya Hussain Aajana
Cheer Kar Safen Saari Karbala Hilaa Dena.

Jab Mile Koi Pyaasa Yaad Karke Asghar Ko
Chand Boond Paani Ke Tum Use Pilaa Dena.

Aye Shajar Khushi Aise Baant Dena Mehfil Me
Zikr Karke Karbal Ka Sabko Tum Rulaa Dena.