Noor Ko Shakl Di Mustafa Kardiya

Noor Ko Shakl Di Mustafa Kardiya

Kalaam of Khwaja Shouq

Noor Ko Shakl Di Mustafa Kardiya
Ek Tajalli Ne Sab Tasfiya Kardiya.

Khud Numayi Ki Khwahish Ne Kya Kardiya
Zaat Ko Zaat Ka Aaina Kardiya.

Zarraye Khaak Ko Haq Rasa Kardiya
Ek Nazar Ne Teri Kya Se Kya Kardiya.

Aap Par Khatm Har Itiqaa Kardiya
Ek Ek Baat Ne Maujza Kardiya.

Wo Azal Se Hi Sultane Laulaak Hai
Kam Kahan Tha Jo Rutba Bada Kardiya.

Dil Ke Veerane Noori Chanan Bangaye
Sabz Gumbad Ne Sab Kuch Har Kardiya.

Khibla -E- Deeno Imaan Wohi Zaat Hai
Jiske Khible Ka Ruq Doosra Kardiya.

Jaane Na Samjhi Nahi Aapki Azmatein
Nashanason Ne Fitna Bapa Kardiya

Shaane Misle Bashar Shouq Be Misl Hai
Laakh Ailaane "Khul Innama" Kardiya.