Aye Dil Khuda Kare Ke Tu Hazir Madina Ho
Aye Dil Khuda Kare Ke Tu Hazir Madina Ho
Kalaam of Layeeq
Aye Dil Khuda Kare Ke Tu Hazir Madina Ho
Jaa Kar Dare Rasool Se Wapas Kabhi Na Ho.
Rakh Kar Sare Niyaaz Ko Dar Par Mai Ye Kahun
Dene Me Aye Saqi Mere Hargiz Kami Na Ho.
Chalte Hain Lekin Aye Dile Nashaad Tujhko Ham
Andaza Iss Suroor Ka Hargiz Kabhi Na Ho.
Jitni Siyaah Kaari Ki Gathri Ho Saath Le
Iss Me Zara Bhi Aye Dile Nadaan Kami Na Ho.
Saail Dare Rasool Se Khaali Nahi Phira
Farmane Aam Hai Koi Wapas Kabhi Na Ho.
Ishqe Nabi Ki Paaun Me Bedi Hai Padhchuki
Meri Dua Hai Ye Ke Rihaayi Kabhi Na Ho.
Shaahe Arab Ke Zulf Ka Qaidi Hua Layeeq
Allah Kare Rihaayi Ki Me'aad Hi Na Ho.