Kirpa Karo Maharaj Moinuddin

Kirpa Karo Maharaj Moinuddin

Khwajae Khwajgaan Moinuddin
Faqre Kauno Makaan Moinuddin.

Sirre Haq Raa Bayaan Moinuddin
Be Nishaan Raa Nishaan Moinuddin.

Mazhare Jalwagahe Noore Qidam
Aaftabe Jahaan Moinuddin.

Murshade Rahnumae Ahle Safa
Hadiye Inso Jaan Moinuddin.

Khwajae Lamakaan Khudsi Makaan
Aasman Aastaan Moinuddin.

Qurbe Haq Aye Niyaaz Gar Khwahi
Saaz Wirde Zabaan Moinuddin.

Muhammad Ki Do Meemein Hain
Mohaiyyudin Moinuddin
Ye Rehmath Ki Sabeelein Hain
Mohaiyyuddin Moinuddin

Ye Dil Mehboobe Subhani Ke Sadqe
Mohaiyyudin Jeelani Ke Sadqe
Moinuddin Ajmeri Ke Qurban
Mohaiyyudin Jeelani Ke Sadqe

Ajmer Jo Nayebe Shaahe Hijaaz Hai
Mujhko Usi Ke Dar Ki Ghulami Pe Naaz Hai.

Tumre Naam Ka Chola Pehen Kar Phirti Hoon Itraaye
Sadqe Me Khwaja Usman Ke Laaj Mori Rehjaye.

Kirpa Karo Maharaj Moinuddin
Raajan Ke Maharaj Moinuddin.

Gira...
Muhammad Par Jo Utra Hai Usi Quran Ka Sadqa
De Apne Peer -O- Murshid Khwaja -E- Usman Ka Sadqa.

Dekhlo Ek Nazar Khwaja -E- Usman Ki Qasam
Hamne Barson Teri Chaukhat Pe Guzaare Khwaja.

Mai Buri Hoon Bhali Hoon
Tihari Hoon Khwaja.

Nabi Ka Waasta Khwaja Meri Pukaar Suno
Hazaar Baar Suni Aur Ek Baar Suno.

Ab Hampe Karam Kijiye Ye Waqte Karam Hai
Aye Khwaja Piya Tumko Muhammad Ki Qasam Hai.

Tumhari Zaat Se Mera Bada Ta'alluq Hai
Ke Mai Ghareeb Bada Tum Bade Ghareeb Nawaz.

Tumhare Dar Ki Bhikaran Hoon Zarf Rakhti Hoon
Mai Phirne Waali Nahi Hoon Gali Gali Khwaja.

Sher...
Dukhiya Hoon Giri Dukh Ke Bhipath Me
Rowath Hoon Nit Ghat Hi Ghat Me
Tum Rakho To Rahe Jagat Me
Mujh Paapan Ki Laaj Moinuddin.

Tumri Daya Ki Sunke Qabariya
Aan Padi Hoon Mai Tori Deheriya
Sukh Wase Ajmer Nagariya
Jisme Karo Tum Raaj Moinuddin.

Tan Man Waarun Laagun Paiyyan
Chodo Na Khwaja Mori Pakd Ke Baiyyan
Mai Daasi Tum More Saiyyan
Tum Hi Ghareeb Nawaz Moinuddin.

Nibhti Nahi Ab Kaise Nibhaun
Tum Bin Kisko Haal Sunaun
Tumri Kahaa Ke Ab Kithe Jaaun
Tum Hi Kaho Maharaj Moinuddin.

Chaho To Dar Dar Bheek Mangado
Chaho Dharo Sar Taaj Moinuddin.

Bharde Gudariya Rangde Chunariya
Qaaim Rahe Tora Raaj Moinuddin.

Sadqaye Khwaja Usmane Haroon
Khaali Na Phero Aaj Moinuddin.

Aan Padi Hoon Darbar Tihaare
Rakhiyo Hamri Laaj Moinuddin.