Allahumma Salli Alaa (Duroode Ahle Bait A.S)
Allahumma Salli Alaa (Duroode Ahle Bait A.S)
Allahumma Salli Alaa Sayyidina
Wa Maulana Muhammad
Wa' Aala Sayyidina Alaiyyiw
Wa Sayyidatina Fatima
Wa Sayyidatina Zainab
Wa Sayyidina Hasan
Wa Sayyidina Hussain
Wa'Aala Aalihi Wa Sahbihi Wa Barik
Wasallim.
Allah Ke Sher Haidare Karrar Par Durood
Hazrath Hasan Hussain Ke Kirdaar Par Durood.
Zahra Pe Bhejte Jo Durood -O- Salaam Hain
Sacche Ghulame Mustafa Hain Nek Naam Hain.
Zainab Ki Bargah Me Salaame Niyaaz Hai
Jo Murtaza Ki Laadli Zahra Ka Naaz Hai.
Apni Guzarrahi Hai Aaram -O- Chain Se
Khaana Hasan Se Milta Hai Paani Hussain Se.
Padhiye Agar Durood To Milta Sawab Hai
Bhejein Agar Salaam To Aata Jawab Hai.
Shahe Umam Ke Chehre Ko Dekha Hai Jis Gaadi
Hazrath Umar Ne Padhliya Kalma Adab Ke Saath