Tu Bada Ghareeb Nawaaz Hai
Tu Bada Ghareeb Nawaaz Hai
Teri Shaan Shaane Qalandari
Tu Bada Ghareeb Nawaaz Hai.
Tere Dar Se Daaghe Jabeen Mila
Ye Nishaan Kitna Haseen Mila
Ye Niaaz Haasile Raaz Hai
Tu Bada Ghareeb Nawaaz Hai.
Hame Toone Apna Banaliya
Ghame Do Jahan Se Chura Liya
Tera Daste Jood Daraaz Hai
Tu Bada Ghareeb Nawaaz Hai.
Tu Moin Ummate Mustafa
Tu Saboot Rehmate Mustafa
Tu Ataa -E- Meer -E- Hijaaz Hai
Tu Bada Ghareeb Nawaaz Hai.
Tera Zikr Kaif Se Jhoom Loon
Tere Aastaane Ko Choom Loon
Yehi Aashiqon Ki Namaaz Hai
Tu Bada Ghareeb Nawaaz Hai.
Teri Shaan Anjume Be Nawa
Kisi Haal Me Bhi Na Likh Saka
Tu Khuda -E- Paak Ka Raaz Hai
Tu Bada Ghareeb Nawaaz Hai.