Baaghe Aalam Me Baade Bahaari Chali

Baaghe Aalam Me Baade Bahaari Chali

Baaghe Aalam Me Baade Bahaari Chali
Sarware Ambiya Ki Sawari Chali
Ye Sawari Sooe Zaate Baari Chali
Abre Rehmath Utha Aaj Ki Raat Hai.

Toor Choti Ko Apni Jhukane Laga
Chandni Chand Harsu Dikhane Laga
Arsh Se Farsh Tak Jagmagane Laga
Rashke Subhe Safa Aaj Ki Raat Hai.

Khwabe Rahat Me The Umme Haani Ke Ghar
Aake Jibreel Ne Ye Sunayi Khabar
Chaliye Chaliye Shahinshahe Baala Gauhar
Haq Ko Shauq Raha Aaj Ki Raat Hai.

Itre Rehmath Farishte Chidakte Chale
Jiski Khushbu Se Raste Mehekte Chale
Chand Taare Jila Me Chamakte Chale
Kehkashan Zere Paa Aaj Ki Raat Hai.

Toor Par Rif'ate Laa Makaani Kahan
Lan Tarani Kahan Man Ra'ani Kahan
Jiska Saaya Nahi Uska Saani Kahan
Uska Ek Maujza Aaj Ki Raat Hai.

Jazbe Husne Talab Har Qadam Saath Hain
Daayein Baayein Farishton Ki Baraat Hai
Sar Pe Noorani Sehre Ki Kya Baat Hai
Shaaha Dulha Bana Aaj Ki Raat Hai.