Rasoolallah Se Nisbat Pe Qismat Naaz Karti Hai
Rasoolallah Se Nisbat Pe Qismat Naaz Karti Hai
Kalaam of Hazrath Shaikhain Ahmed Shuttari (Kamil) R.a
Rasoolallah Se Nisbat Pe Qismat Naaz Karti Hai
Dare Aqdas Ke Sajdon Par Ibadath Naaz Karti Hai.
Tumhari Zaate Waala Se Sharaf Hai Nasle Aadam Ko
Tumhi Wo Ho Ke Jispar Aadmiyyath Naaz Karti Hai.
Sharafat Hi Sharafat Thi Mukammal Zindagi Jiski
Usi Par Ab Bhi Duniya -E- Sharafat Naaz Karti Hai.
Kahein Kya Uski Paaki Ke Liye Alfaaz Aajiz Hain
Ke Jiske Ghar Ke Logon Par Taharat Naaz Karti Hai.
Tumhari Paak Seerat Ne Dikhaye Hain Maqaam Aise
Jahan Insaan Par Insaan Ki Azmath Naaz Karti Hai.
Mere Isyaan Ne Daman Mera Baandha Uske Daman Se
Ke Jiski Zaate Aqdas Par Shafa'at Naaz Karti Hai.
Wo Dekho Jam'a Hain Sab Ambiya Maidane Mehshar Me
Unhin Me Wo Bhi Hain Jispar Risalath Naaz Karti Hai.
Zubaane Haal Tha Shahid Tha Boya Taat Ka Bistar
Mere Sarkar Ki Shaahi Pe Ghurbat Naaz Karti Hai.
Ek Insaan Aur Phir Itne Mukammal Qad -O- Khaal Uske
Haseen Munh Tak Rahe Hain Aur Qudrath Naaz Karti Hai.
Mae Hubbe Nabi Ka Kaif Hojaata Hai Jab Kamil
Muhabbath Karne Waale Par Muhabbath Naaz Karti Hai.