Rubaru Hai Shaane Haq Ham Kya Karein

Rubaru Hai Shaane Haq Ham Kya Karein

Kalaam of Hazrath Makki Miyan Rh (Hunar)

Rubaru Hai Shaane Haq Ham Kya Karein
Sar Na Sajde Ko Karen Kham Kya Karein.

Hai Tahi Dasti Ka Aalam Kya Karein
Unka Daman Chor Kar Ham Kya Karein.

Khutbe Aalam Aapko Ham Dekhkar
Phir Nazar Ab Sooe Aalam Kya Karein.

Sab Muhaiya Garche hain Saamane Aeish
Furqate Mehboob Me Ham Kya Karein.

Karle Aye Zaahir Ilaaje Zeher Khushk
Teri Aankhen Hi Nahi Nam Kya Karein.

Aye Hunar Unka Abhi Ghar Door Hai
Paun Apne Hogaye Tham Kya Karein.