Mera Dil Aur Meri Jaan Ya Rasoolallah

Mera Dil Aur Meri Jaan Ya Rasoolallah

Mera Dil Aur Meri Jaan Ya Rasoolallah
Tum Pe Sau Jaan Se Qurban Ya Rasoolallah.
Fida Hai Tumpe Meri Jaan Ya Rasoolallah
Tumhi Ho Deen Aur Imaan Ya Rasoolallah.
Tumhari Naat Ke Sadqe Me Sarware Aalam
Mili Hai Mujhko Ye Pehchan Ya Rasoolallah.

Meri Majaal Hi Kya Mai Tumhari Naat Likhoon
Tumhari Naat Hai Quran Ya Rasoolallah.

Tumhare Rauzae Anwar Ki Shaan Kya Kehna
Hai Jibraeel Bhi Darban Ya Rasoolallah.
Liya Hai Aapne Daman Me Mujhse Aasi Ko
Bohot Bada Hai Ye Ehsan Ya Rasoolallah.
Khuda Ki Qalq Me Khulqe Azeem Tum Jaisa
Nahi Hai Doosra Insaan Ya Rasoolallah.

Nahi Hai Ahsanu Minka Koi Zamane Me
Ye Bole Hazrate Hassan Ya Rasoolallah.

Bulalo Jald Madine Me Dil Tadapta Hai
Madina Dekhle Rizwan Ya Rasoolallah.