Nabi Ka Lab Par Jo Zikr Hai

Nabi Ka Lab Par Jo Zikr Hai

Kalaam of Saaim Chishti

Nabi Ka Lab Par Jo Zikr Hai
Be Misaal Aaya Kamaal Aaya
Jo Hijre Taiba Me Yaad Ban Kar
Khayaal Aaya Kamaal Aaya.

Teri Duaon Hi Ki Badaulath
Azaabe Rab Se Bache Hue Hain
Jo Haq Me Ummat Ke Tere Lab Par
Sawaal Aaya Kamaal Aaya.

Umar Ki Jurrat Pe Jaaun Qurban
Hain Aaj Kafir Bhi Unse Larzaan
Umar Ke Aane Se Kufr Par Jo
Zawaal Aaya Kamaal Aaya.

Chale Zameen Par Qadam Ki Aahat
Bahisht Waalon Ko De Sunaayi
Nabi Ka Pyaara Ghulaam Aisa
Bilaal Aaya Kamaal Aaya.

Nabi To Saaim Sabhi Hain Aala
Hai Rutbe Sab Ke Azeem -O- Baala
Magar Jo Aaqir Me Aamena Ka
Wo Laal Aaya Kamaal Aaya.