Ya Nabi Nazre Karam Farmana
Ya Nabi Nazre Karam Farmana
Ya Nabi Nazre Karam Farmana
Aye Hasnain Ke Nana
Zahra Paak Ke Sadqe Hamko
Taiba Me Bulwana.
Aapke Dar Ka Hoon Mai Bhikari
Aap Hain Mere Daata
Saare Rishte Naaton Se Hai
Pyaara Apna Naata
Aap To Hain Aata Hai Jinko
Sabki Laaj Nibhana.
Be Saaya Hai Lekin Do Jag
Par Hai Aapka Saaya
Arshe Mo'alla Bana Mohalla
Deed Ko Rab Ne Bulaya
Hashr Talak Na Hoga Kisi Ka
Aisa Aana Jaana.
Sajgayi Hai Milad Ki Mehfil
Kya Hai Khoob Nazara
Kaifo Masti Me Dooba Hai
Dekho Aalam Saara
Dhoond Rahi Hai Aapki Rehmath
Baqshish Ka Bahana.
Nisbath Ka Faizan Hai Dekho
Khadime Ghouse -E- Jali Hoon
Karta Hai Mujhpe Naaz Zamana
Mai Ausaafe Ali Hoon
Aapki Aal Ke Dar Ka Sag Hoon
Saail Hoon Purana.