Mere Lahu Ke Har Qatre Me Goonj Raha

Mere Lahu Ke Har Qatre Me Goonj Raha

Siddique Ka Naara Ya Rasool
Farooq Ka Naara Ya Rasool
Usman Ka Naara Ya Rasool
Haidar Ka Naara Ya Rasool
Ham Sab Ne Pukara Ya Rasool.

Tere Naam Pe Sar Ko Kataun
Tere Naam Pe Waari Jaaun
Tere Naam Se Jannat Paaun
Tere Saath Me Jannat Jaaun.

Mere Lahu Ke Har Qatre Me Goonj Raha Hai Ya Rasool
Ab To Mere Wirde Zaban Bhi Rehne Laga Hai Ya Rasool

Aapki Kya Shaan Hai Aaqa, Bolta Quran Hai Aawa
Aamena Ki Jaan Hai Aaqa, Marzi -E- Subhan Hai Aaqa.

Chorus...

Aagaye Noore Khuda Kehdo, Aagaye Shahe Huda Kehdo
Marhaba Salle Alaa Kehdo, Marhaba Ya Mustafa Kehdo.

Chorus...

Jaan Unpe Ham Lutayenge, Unki Khatir Sar Katayenge
Khoon Ka Har Qatra Bahayenge, Waqt Pada To Kar Dikhayenge.

Chorus...

Pyara Pyara Sabz Ye Parcham, Lehlahaya Chaar Su Har Dam
Marhaba Ki Goonj Se Paigham, Goonjta Hai Saara Hi Aalam.

Chorus...

Markaze Imaan Zindabad, Mazhare Rehman Zindabad
Haadiye Insaan Zindabad, Kul Jahan Ki Jaan Zindabad.

Chorus...

Baabe Aalam Ki Har Ek Daali, Aaj Rab Ne Hai Saja Daali
Shab Gunahon Ki Mita Daali, Baad Har Bigdi Bana Daali.

Chorus...

Umr Guzre Apni Yoon Saari, Teri Ulfath Jaan Se Pyaari
Jaan Tujhpe Ham Karen Waari, Hai Ye Aayine Wafadari.

Chorus...

Kya Haseen Hain Chehraye Anwar, Isse Chamke Maah Aur Akhtar
Den Gawahi Aapki Patthar, Sar Jhuka Hai Shah Bhi Dar Par.

Chorus...

Assalam Aye Shahe Behrobar, Assalam Aye Malik -E- Kausar
Assalam Aye Haq Ke Paighambar, Hai Musafir Ke Yehi Lab Par.