Jabeen Meri Ho Sange Dar Tumhara Ya Rasoolallah

Jabeen Meri Ho Sange Dar Tumhara Ya Rasoolallah

Jabeen Meri Ho Sange Dar Tumhara Ya Rasoolallah
Yehi Hai Ek Jeene Ka Sahara Ya Rasoolallah.

Dikhado Apna Chehra Pyaara Pyaara Ya Rasoolallah
Khuda Ka Jeete Jee Karlun Nazaara Ya Rasoolallah.

Baroze Hashr Mere Iss Yaqeen Ki Laaj Rakhlena
Tumhara Hoon Tumhara Hoon Tumhara Ya Rasoolallah.

Nadamat Hai Khataon Par Magar Nazaan Hoon Qismat Par
Mere Haathon Me Hai Daman Tumhara Ya Rasoolallah.

Zamana Choot Jaaye Rooth Jaaye Kuch Nahi Parwah
Na Choote Haath Se Daman Tumhara Ya Rasoolallah.

Ghulame Ahmade Muqthar Yoon Pehchane Jaayeinge
Ke Mehshar Me Bhi Hoga Unka Naara Ya Rasoolallah.

Tera Dar Ho Mera Sar Ho Sukoone Dil Mayassar Ho
Phire Kab Tak Ye Anjum Maara Maara Ya Rasoolallah.