Bhookon Ko Khaana Khilana Naat Hai
Bhookon Ko Khaana Khilana Naat Hai
Kalaam of Arbaz Hasmani Quadri Sahab
Bhookon Ko Khaana Khilana Naat Hai
Pyaason Ko Paani Pilaana Naat Hai.
Kehti Hai Meri Aqidath Mujhse Ye
Furqat -E- Taiba Me Rona Naat Hai.
Kehkashaon Ki Ziya Samjhe Koi
Chand Suraj Ka Nikalna Naat Hai.
Kyun Siyasi Kehte Ho Tum Doob Maro
Jang -E- Karbal Ka Khulaasa Naat Hai.
Fikre Mehshar Kyun Kare Arbaaz Ab
Uski Baqshish Ka Wasila Naat Hai.