Khaak Suraj Se Andheron Ka Izaala Hoga

Khaak Suraj Se Andheron Ka Izaala Hoga

Kalaam of Khalid Mehmood Khalid Sahab

Khaak Suraj Se Andheron Ka Izaala Hoga
Aap Aayen To Mere Ghar Me Ujaala Hoga.

Hashr Me Unka Har Ek Chahne Waala Hoga
Mere Sarkar Ka Aalam Hi Nirala Hoga.

Hashr Me Hoga Wo Sarkar Ke Jhande Ke Tale
Mere Sarkar Ka Jo Chaahne Waala Hoga.
Ishqe Sarkar Ki Ek Shamma Jalaalo Dil Me
Baad Marne Ke Lahad Me Bhi Ujaala Hoga.

Aa Nahi Sakta Nazar Jalwaye Sarkar Kabhi
Be Yaqeeni Ka Agar Aankh Me Jaala Hoga.

Kal Wo Sarkar Ke Daman Me Nazar Aayega
Jiske Aibon Ko Zamane Ne Uchaala Hoga.

Jab Bhi Maango To Waseele Se Unhi Ke Maango
Iss Waseele Se Karam Aur Dubala Hoga.

Sar Jhukayega Wo Sarkar Ke Qadmon Me Zaroor
Jiska Maqsood Bhi Allah Ta'ala Hoga.

Hashr Me Usko Bhi Seene Se Lagayenge Huzoor
Jiss Gunahgaar Ko Har Ek Ne Taala Hoga.

Hoga Sairaab Sare Kausar -O- Tasneem Wohi
Jiske Haathon Me Madine Ka Piyaala Hoga.

Har Zarurath Pe Kafalat Ki Nazar Hai Teri
Aur Tujhsa Na Koi Paalne Waala Hoga.

Maahe Taiba Ki Tajalli Bhi Niraali Hogi
Aapke Gird Bhi As'haab Ka Haala Hoga.

Sila -E- Naate Nabi Paayega Jis Din Khalid
Wo Karam Dekhna Tum Dekhne Waala Hoga.