Allahumma Salle Alaa Sayyidina
Allahumma Salle Alaa Sayyidina
Allahumma Salle Alaa Sayyidina Wa Maulana Muhammadin
Wa Aala Aalihi Wa Sahbihi Wa Barik Wasallim
Sab Se Aula Wo Aala Hamara Nabi
Sab Se Baala Wo Aala Hamara Nabi.
Apne Maula Ka Pyara Hamara Nabi
Dono Aalam Ka Dulha Hamara Nabi
Kya Qabar Kitne Taare Khile Chup Gaye
Par Na Doobe Na Dooba Hamara Nabi
Jaisa Sab Ka Khuda Ek Hai Waise Hi
Inka Unka Tumhara Hamara Nabi.
Ghamzadon Ko Raza Mushda Dije Ke Hai
Bekason Ka Sahara Hamara Nabi.
Maangne Walon Ham Ko To Yoon Chahiye
Maangna Aur Kisi Se Bhi Kyun Chahiye
Kaun Deta Hai Dene Ko Mu Chahiye
Dene Waala Hai Saccha Hamara Nabi
Sarkare Do Aalam Ke Ruq Par
Anwaar Ka Aalam Kya Hoga
Jab Zulf Ka Zikar Hai Quran mein
Ruqsaar Ka Aalam Kya Hoga.
Jab Unke Gada Bhardete Hain
Shahana Zamana Ki Jholi
Mohtaj Ka Jab Ye Aalam Hai
To Muqtar Ka Aalam Kya Hoga
Hai Naam Me Unka Itna Asar
Ji Uthte hai Murde Bhi Sunkar
Wo Haal Agar Khud Poochen To
Bimaar Ka Aalam Kya Hoga.
Sun Sun Ke Sahaba Ki Batein
Kuffaar Musalman Hote The
Phir Koi Bataaye Aaqa Ki
Guftaar Ka Aalam Kya Hoga.
Taiba Se Hawa Jab Aati Hai
Bekal Ko Sukoon Miljata Hai
Is Paar Ka Jab Ye Aalam Hai
To Us Paar Ka Aalam Kya Hoga.
Jab Husn Tha Unka Jalwa Numa
Anwaar Ka Aalam Kya Hoga
Har Koi Fida Hai Bin Dekhe
To Deedar Ka Aalam Kya Hoga
Ek Simt Ali Ek Simt Umar
Siddiq Idhar Usman Udhar
In Jag Mag Jag Mag Taaron Me
Sarkar Ka Aalam Kya Hoga
Qurban Mai Unki Baqshish Ke
Maqsad Bhi Zaban Par Aaya Nahi
Bin Maange Diya Aur Itna Diya
Daman Me Hamare Samaya Nahi
Unka To Shiaar Kareemi Hai
Maail Ba Karam Hi Rehte Hain
Jab Yaad Kiya Aye Salle Alaa
Wo Aahi Gaye Tadpaya Nahi.
Dil Bhargaye Mangton Ke Lekin
Dene Se Teri Niyyat Na Bhari
Jo Aaya Use Bhar Bhar Ke Diya
Mehroom Kabhi Lautaya Nahi.
Ishq Ki Ibteda Mustafa Mustafa
Husn Ki Inteha Mustafa Mustafa.
Ambiya Ne Kaha Ya Khuda Ya Khuda
Khud Khuda Ne Kaha Mustafa Mustafa
Kya Qabar Kitne Murde Bhi Uthjayenge Kehke Dekho Zara Mustafa Mustafa.