Unki Tauqeer Me Qurani Adab Aaya Hai
Unki Tauqeer Me Qurani Adab Aaya Hai
Kalaam of Jameel Sharfi
Unki Tauqeer Me Qurani Adab Aaya Hai
Yaani Laa Tarfa'u, Laa Taqnatu Sab Aaya Hai.
Koi Samaan Na Samaan Ka Sabab Aaya Hai
Unke Hujre Me Faqat Arsh Ka Dhab Aaya Hai.
Dars Quran Ko Dene Ka Sabab Aaya Hai
Banke Noorani Sanad Ummi Laqab Aaya Hai.
Waqt Barbaadi Ka Aaya Hai To Tab Aaya Hai
Bu Lahab Ke Liye Ye Lafz Bhi Tab Aaya Hai.
Paaun Se Mimbare Aqdas Ke Chala Karti Hai
Tab Kahin Naat Ko Hassan Ka Dhab Aaya Hai.
Raushni Maujza Bante Hue Dandaan Se Uthi
Ayesha Bibi Ki Sooyi Ka Sabab Aaya Hai.
Itr Odhe Hue Aaqa Ke Paseene Ka Bahaao
Zam Zam -O- Kausar -O- Tasneem Me Kab Aaya Hai.
Ham Ne Aaqa Ki Har Ek Baat Ko Maana Hai Jameel
Naat Kehne Ka Saleeqa Hamein Tab Aaya Hai.