Jaake Madina Rehjana

Jaake Madina Rehjana

Kalaam of Hz Abdul Muqtadir Siddiqui (Fazl) R.a

Jaake Madina Rehjana
Rehjana Phir Na Aana
Dil Me Tamanna Behad Hai
Taiba Waale Bulana.

Dekhun Na Jab Tak Tore Charan
Mora Jiya Bas Tadpat Hai
Des Me Apne Aashiq Ko
Jag Ke Raja Bulana.

Dar Pe Tere Behosh Pada
Dekh Piya Aashiq Tora
Kar Rehem Zara Ab Isko Utha
Seene Se Apne Liptana.

Paapi Hai Wo Sharminda
Dhaank Ke Mu Dar Pe Aaya
Fazl Ko Maula Apne Sang
Aage Khuda Ke Lejana.