Aaya Hoon Dar Par Aalooda Damaan
Aaya Hoon Dar Par Aalooda Damaan
Kalaam of Hz Khwaja Mahbooballah (Khulq) R.a
Aaya Hoon Dar Par Aalooda Damaan
Aye Behre Rehmath Dho Mere Isyaan
Mauje Hawa Ka Utha Hai Toofan
Kashti Ka Meri Tu Hai Nighebaan.
Bulbul Hoon Tera Furqat Me Nalaan
Aye Baghbaane Gulzaare Imaan
Phoolon Se Bharde Maqsad Ka Damaan
Aabad Daaim Tera Gulistaan.
Gathri Gunah Ki Sar Pe Liya Hoon
Laghzishe Paa Se Tharra Raha Hoon
Hai Door Manzil Mai Thak Gaya Hoon
Haath Pakadle Kar Mushkil Aasan.
Shaane Nabuwwat Shaane Risalath
Hai Sar Se Paa Tak Allah Ki Qudrat
Kaane Hidayath Jaane Shafa'ath
Rehmath Ke Sadqe Rif'at Ke Qurban.
Naame Mubarak Wirde Zubaan Hai
Taskeene Dil Hai Aarame Jaan Hai
Har Ek Bala Se Hifzo Amaan Hai
Kya Fikre Dushman Kya Fikre Shaitan.
Mehboobe Haq Ki Dargah Yehi Hai
Jannat Jo Poocho Wallah Yehi Hai
Aye Jaane Waalon Haan Raah Yeh Hai
Kyun Bhoole Bhatke Phirte Ho Hairan.
Aye Khulq Unka Tu Ummati Hai
Kis Baat Ki Phir Tujhko Kami Hai
Baqshane Waala Saheb Wohi Hai
Kardega Har Ek Mushkil Ko Aasan.