Baqshish Karam Ataa Hai Sarkar Ki Gali Me
Baqshish Karam Ataa Hai Sarkar Ki Gali Me
Baqshish Karam Ataa Hai Sarkar Ki Gali Me
Har Dard Ki Dawa Hai Sarkar Ki Gali Me.
Duniya -O- Aaqirat Ki Har Shai Wahan Se Paayi
Jo Maanga Milgaya Hai Sarkar Ki Gali Me.
Saaya Kiye Hue Hain Joodo Sakha Ke Badal
Mangta Khada Hua Sarkar Ki Gali Me Hai
Aale Nabi Ka Sadqa Milta Hai Har Gada Ko
Jaari Ye Silsila Hai Sarkar Ki Gali Me.
Aaqa Mujhe Sambhalo Jaisa Bhi Hoon Nibhalo
Meri Yehi Dua Hai Sarkar Ki Gali Me.
Soofi Khaleel Tu Ne Kaisa Naseeb Paaya
Tu Jaake Khogaya Hai Sarkar Ki Gali Me.