Ya Sahibal Jamaal Wa Ya Sayyadul Bashar

Ya Sahibal Jamaal Wa Ya Sayyadul Bashar

Ya Sahibal Jamaal Wa Ya Sayyadul Bashar
Miw Wajhikal Muneer Laqad Nuvviral Qamar

Daata Saqi Kareem Yadullah Naamwar
Bandanawaz Badshahe Husno Sar Ba Sar
Tere Bhikaari Shaaho Gada Aur Taajwar
Sultane Do Jahan Shahinshahe Behrobar
Bande Pe Apne Meher Ki Hojaaye Ek Nazar.

Aayina -E- Jamaale Khuda Aapki Nazar
Zulfe Dutaa Hai Surae Wallail Sar Ba Sar
Har Naqshe Paa Pe Aks Hain Khursheed Aur Qamar
Saani Nahin Hain Aapka Koi Payaambar
Milkar Padho Durood Shahe Do Jahaan Par.

Takhleeqe Kayenath Ka Sehra Hai Inke Sar
Inpe Fida Hain Jinno Malak Aur Har Bashar
Hai Do Jahan Me Zaate Muhammad Hi Mustaqar
Roze Azal Se Aap Hain Haq Deen -O- Haq Nigar
Kaunain Me Hai Aap Hi Ki Zaat Raahbar.

Ishqe Rasoole Paak Meri Zindagi Rahe
Hubbe Nabi Se Mast Rahun Bekhudi Rahe
Kul Kayenaat Se Mujhe Bekangni Rahe
Har Dam Mujhe Huzoor Se Wabastagi Rahe
Wirde Zubaan Subho Masaa Bas Yehi Rahe.

Aye Rehmate Tamaam Shahinshae Khush Qisaal
Aye Mazhare Tajalli -E- Anwaare Zuljalaal
Aye Taajdaare Arshe Ulaa Shaahe Ba Kamaal
Hai Paikare Jamaale Ilaahi Tera Jamaal
Aye Wajhe Khalqe Har Do Jahane Wo Bemisaal.

Charcha Tumhari Azmat -O- Shaukat Ka Chaarsu
Noore Khuda Hai Aap Hi Ka Noor Hubahu
Ye Shaan Aapki Hai Ke Jalla Jalalahu
Quran Me Bayaan Kare Haq Subhanahu
Wirde Khuda Hai Sallu Alaihi Wasallimu

Laa Yunkinus Sanaau Kama Kaana Haqqahu
Baad Az Khuda Buzurg Tuhi Khissa Muqtasar.

Pohonche Falak Pe Jab Shahe Kaunain Nek Khu
Sab Sar Ba Sajda Hogaye Jannat Ke Khoobru
Hooro Malaika Me Thi Baaham Ye Guftagu
Salle Alaa Bahaar Hai Gulistaane Wahdahu.

Hai Aap Hi Ke Husn Ka Phoolon Me Rang -O- Boo
Hai Justaju Huzoor Ki Allah Ki Justaju
Hai Raushni Huzoor Ke Chehre Ki Chaarsu
Aye Khusrawe Tajalli -E- Anwaare Allah Hoo
Qurban Tumpe Saare Haseen Saare Khoobru.