Huzoor Meri To Saari Bahar Aapse Hai
Huzoor Meri To Saari Bahar Aapse Hai
Huzoor Meri To Saari Bahar Aapse Hai
Mai Beqaraar Tha Mera Qaraar Aapse Hai.
Meri To Hasti Hi Kya Hai Mere Ghareeb Nawaz
Jo Milraha Hai Mujhe Saara Pyaar Aapse Hai.
Kahan Wo Arze Madina Kahan Meri Hasti
Ye Haazri Ka Sabab Baar Baar Aapse Hai.
Siyahkaar Hoon Aaqa Badi Nadamath Hai
Qasam Khuda Ki Ye Mera Waqaar Aapse Hai.
Muhabbaton Ka Sila Aise Kaun Deta Hai
Sunehri Jaaliyon Me Yaare Ghaar Aapse Hai.
Mai Iss Yaqeen Se Zinda Hoon Aap Mere Hain
Meri Hayaath Ka Daaromadar Aapse Hai.
Huzoor Aapki Yaadon Me Ashk Behte Hain
Ye Meri Aankh Ziya Ashk Baar Aapse Hai.