Sab Se Aula Wo Aala Hamara Nabi

Sab Se Aula Wo Aala Hamara Nabi

Teergi Me Ujala Hamara Nabi
Raushni Ka Hawala Hamara Nabi
Ghaibdaan Kamli Waala Hamara Nabi
Sab Se Aula Wo Aala Hamara Nabi
Sab Se Baala Wo Aala Hamara Nabi

Behre Gham Me Kinara Hamara Nabi
Chashme Aalam Ka Taara Hamara Nabi
Aamina Ka Dulara Hamara Nabi
Apne Maula Ka Pyaara Hamara Nabi
Dono Aalam Ka Dulha Hamara Nabi.

Jis Ki Tableegh Se Haq Numayaan Hua
Butkadah Jiski Aamad Se Weeran Hua
Jiske Jalwon Se Iblees Larzaan Hua
Bazme Aakhir Ka Sham'a Farozaan Hua
Noore Awwal Ka Jalwa Hamara Nabi.

Dar Pe Ghairon Ke Zehmath Na Farmaiye
Bheek Lene Madine Chale Jaaiye
Koi Deta Hai To Saamne Laaiye
Kaun Deta Hai Dene Ko Moo Chahiye
Dene Waala Hai Saccha Hamara Nabi.

Peshe Daawar Jo Hai Aasiyon Ka Wakeel
Jiske Haathon Se Manzoor Hogi Appeal
Jiska Mukhda Hai Khud Maghfirath Ki Daleel
Jiski Do Boond Hain Kausar -O- Salsabeel
Hai Wo Rehmath Ka Dariya Hamara Nabi.

Jiske Irfaan Pe Mauqoof Irfaan -E- Zaat
Jiski Rehmath Ke Saaye Me Hai Kayenath
Jiske Dar Se Nikalti Hai Raahe Najaath
Jiske Talwon Ka Dhowan Hai Aabe Hayaath
Hai Wo Jaane Maseeha Hamara Nabi.

Allah Allah Wo Ummi -O- Ustaade Kull
Machgaya Jiske Ba'sath Me Makke Me Gull
Rehbare Ins -O- Jaan Muntaha -E- Subul
Khalq Se Auliya, Auliya Se Rusul
Aur Rasoolon Se Aala Hamara Nabi.

Jiske Azkaar Ki Hain Saji Mehfilein
Dam Qadam Se Hain Jiske Ye Sab Raunaqein
Bazme Kaunain Me Jiski Hain Taabishein
Bujhgayi Jiske Aage Sabhi Mash'aley
Shamma Lekar Wo Aaya Hamara Nabi.

Farsh Ko Mohre Aizaaz Jiske Qadam
Jiske Abru Me Ek Dilrubayana Qam
Wo Jameelush Shiyam Wo Jaleelul Hasham
Husn Khaata Hai Jiske Namak Ki Qasam
Wo Maleehe Dilaara Hamara Nabi.

Jaise Mehre Sama Ek Hai Waise Hi
Jaise Rauze Jaza Ek Hai Waise Hi
Jaise Baabe Ataa Ek Hai Waise Hi
Jaise Sab Ka Khuda Ek Hai Waise Hi
Inka Unka Tumhara Hamara Nabi.

Kitne Raushan Diye Dam Zadan Me Bujhe
Kitne Sarwe Sahee Zere Gardoon Jhuke
Kitne Dariya Yahan Behte Behte Ruke
Kya Khabar Kitne Taare Khile Chup Gaye
Par Na Doobe Na Dooba Hamara Nabi.

Zindagi Kitne Moti Piroti Rahi
Khud Me Range Taghaiyyur Samoti Rahi
Beej Kya Kya Tanawwu Ke Boti Rahi
Qarnon Badli Rasoolon Ki Hoti Rahi
Chand Badli Ka Nikla Hamara Nabi.

Ab Na Dil Pe Koi Baat Lije Ke Hai
Jaame Kausar Koi Dam Me Pije Ke Hai
Aye Naseer Ab Zara Gham Na Kije Ke Hai
Ghamzadon Ko Raza Mushda Dije Ke Hai
Bekason Ka Sahara Hamara Nabi.
-------------

Saare Acchon Me Accha Samajhiye Jise
Hai Uss Acche Se Accha Hamara Nabi.

Mulke Kaunain Me Ambiya Taajdaar
Taajdaron Ka Aaqa Hamara Nabi.

Sab Chamak Waale Ujhlon Me Chamka Kiye
Andhe Sheeshon Me Chamka Hamara Nabi