Dare Nabi Par Pada Rahunga

Dare Nabi Par Pada Rahunga

Kalaam of Khalid Mehmood Khalid Sahab

Dare Nabi Par Pada Rahunga
Pade Hi Rehne Se Kaam Hoga
Kabhi To Khismat Khulegi Meri
Kabhi To Mera Salaam Hoga.

Girah...
Tera Dar Chor Ke Jaaun To Kahan Jaaun Mai
Mere Aaqa Mere Sultan Madine Waale.

Sher...
Khilaafe Mashook Kuch Hua
Na Koi Aashiq Se Kaam Hoga
Khuda Bhi Hoga Udhar Hi Aye Dil
Jidhar Wo Aali Maqaam Hoga.

Kiye Hi Jaunga Arze Matlab
Milega Jab Tak Na Dil Ka Matlab
Na Shaame Matlab Ki Subha Hogi
Na Ye Fasaana Tamaam Hoga.

Jo Dil Se Hai Maa'ile Payambar
Ye Uski Pehchaan Hai Muqarrar
Ke Har Dam Uss Benawa Ke Lab Par
Durood Hoga Salaam Hoga.

Isi Tawaqqo Pe Jeeraha Hoon
Yehi Tamanna Jila Rahi Hai
Nigahe Lutfo Karam Na Hogi
To Mujhko Jeena Haraam Hoga.