Kabhi Subho Masa Ki Yaad Aayi
Kabhi Subho Masa Ki Yaad Aayi
Kabhi Subho Masa Ki Yaad Aayi
Kabhi Shaamo Sahar Ki Yaad Aayi
Ham Bhoolgaye Jannat Ki Gali
Jab Taiba Nagar Ki Yaad Aayi.
Saawan Ki Ujaali Raaton Me
Jab Chand Ki Jaanib Dekhliya
Aye Aamena Bibi Tere Hi
Bas Noore Nazar Ki Yaad Aayi.
Talwaar Ke Saaye Me Sajda
Neze Pe Tilawat Quran Ki
Jab Mehfil Me Ye Zikr Hua
Shabbir Ke Sar Ki Yaad Aayi.
Sar Jisne Sitham Ka Kaat Diya
Islam Ka Dushman Chaant Diya
Kirdaar Umar Ka Yaad Aaya
Talwaar Umar Ki Yaad Aayi.
Jab Ishq Ne Cheda Ye Sargam
Shab Jaaye Ki Man Boodam Uss Dam
Mehboobe Ilaahi Par Khusro
Ke Peere Nazar Ki Yaad Aayi.
Jab Baat Ana Sagar Ki Chali
Jab Zikre Musalla Hone Laga
Kabhi Khwaja Piya Ki Yaad Aayi
Kabhi Ganje Shakar Ki Yaad Aayi.