Sarshaar Hogayi Hai Nazar Dekhne Ke Baad
Kalaam of Aarif Pasha Quadri Laubali Sahab
Sarshaar Hogayi Hai Nazar Dekhne Ke Baad
Ye Aastana Aur Ye Dar Dekhne Ke Baad.
Duniya Ko Yaad Aayi Sakhawat Rasool Ki
Tujhko Aye Fatima Ke Pisar Dekhne Ke Baad.
Himmat Ko Wajd Aaya Shuja'at Hui Nisaar
Tujhko Ali Ke Laqte Jigar Dekhne Ke Baad.
Khairaat Maangne Lage Jalwe Jamaal Ke
Tujhko Aye Mere Rashke Qamar Dekhne Ke Baad.
Veerane Mere Dil Ke Bhi Aabad Hogaye
Tujhko Nabi Ke Aye Gule Tar Dekhne Ke Baad.
Kisko Hai Intezaar Bahare Bahisht Ka
Baghdad Ki Ye Shaam -O- Sahar Dekhne Ke Baad.
Shaahi Meri Faqeeri Pe Hone Lagi Nisaar
Chaukhat Pe Aapki Mera Sar Dekhne Ke Baad.
Kuch Aur Dekhne Ki Tamanna Nahi Rahi
Ya Ghouse -E- Paak Aapka Dar Dekhne Ke Baad.
Imaan Taaza Hogaya Aarif Khuda Gawah
Aakar Yahan Dua Me Asar Dekhne Ke Baad.